Archive for the ‘Tanhai Poetry’ Category

Woh le gayaa hai dil se

January 12, 2013

Woh-le-gayaa-hai-dil-se
Ulti parri hain KASHTIYAAN sab RAITT per meri..,

Woh le gayaa hai dil se SAMANDAR nikaal kar……!


●─┼ HAFI ┼─●

Qabool-e-jurm krty hain

January 11, 2013

Qabool-e-jurm-krty-hain
Qabool-e-jurm krty hain Tumhary Qadmoo’n main gir kar

Saza-e-Mout hai Manzoor mgr Muhabbat Ab nahi karni.


●─┼ SABA RANI ┼─●

Aane do usko k main bhi shikayet karungi

January 11, 2013

Hate-With-Sleeping
Aane do usko k main bhi shikayet karungi..
Mujse pooche bina kyu mere sapno me aata hy wo..
●─┼ HAFI ┼─●

Manzilain un ko mila karti hain

January 9, 2013

Manzilain-un-ko-mila-karti-hain
Manzilain un ko mila karti hain jin ka shaiva ho fareeb
Hum ne tu daastan-e-sadaqat main lutta di zindagi apni.
●─┼ HAFI ┼─●

Tarq-e-ulfat jo kiya

January 9, 2013

Tarq-e-ulfat-jo-kiya
Tarq-e-ulfat jo kiya hai tu sambhalo khud ko
kio mere khwab main rozz chale aate ho.
●─┼ HAFI ┼─●

Suno iltija hai itni

January 9, 2013

Suno-iltija-hai-itni
suno iltija hai itni
jab meri sansain 
mera jism choor dain
jab aankhain weeran ho jain 
jab main thak jaoon or gir jaoon
jab main tumhein pukaroon 
or aawaz na day paoon jab mujhay jana ho
lootna hoo apnay khuda kay pass 
aisay lamhay tum aajana ik 
lamhay kay liye hi per dua kay liye 
hath uthana meri sard 
paishani pay apna hath rakhna 
taasuf say sir hilana phir 
mairay jinazay ko kandha daina 
or apni dunia say door choor aana
bus sirf in chand lamhoon ka sakoon meri
zaindagi pay tumhara ehsan ho ga 
kay tumhare hathoon  ka 
 lams kaber main bhi mujh say juda na ho ga.
●─┼ HAFI ┼─●

They Lakh Gunahgaar

January 9, 2013

They-Lakh-Gunahgaar
They Lakh Gunahgaar Zamane Ki Nazar Mein..

Tera Liya Jazbaat Magr Paak Buhat They…


●─┼ HAFI ┼─●

Taraste the jo hamse milne ko kabhi

January 9, 2013
Taraste-the-jo-hamse-milne-ko-kabhi
Taraste the jo hamse milne ko kabhi..

Na jane q aaj mere saaye se bhi wo katrate hain..


Ham bhi wahi hain;dil bhi wahi hai,

Na jane q log badal jate hain..! ♥♥


●─┼ HAFI ┼─●

MERE DIL KA YE HUWA AALAM

January 9, 2013

DIL-KA-YE-HUWA-AALAM
BICHHAD KE UNSE MERE DIL KA YE HUWA AALAM

HO DIN KE RAAT HAR EK WAQT SOGWAARI HE.


ANDHERI RAAT MAIN “AKHTAR ” CHAMAKTE HAIN AKHTAR

KE CHAND RAAT BHI MANA BAHUT HI PYAARI HE.


●─┼ HAFI ┼─●

Apni tanhaiyon se poocha hai

January 8, 2013

Apni-tanhaiyon-se-poocha-hai
Apni tanhaiyon se poocha hai
Shab-e-hijran se baat ker li hai
Mere andar ki sehmi khamoshi
Mere bahir ka hansta chehra bhi
Raat ke sansanate lamhe bhi
Din ka dasta huwa ujala bhi
Zabt ka toot’ta yeh bandhan bhi
Sabar ka choot’ta yeh daman bhi
Uss ki yaadein bhi kuch isharon mein
Mujh ko majboor ker rehe hein sab…
Aao uss ke paas chalte hein
Uss se kehte hein kuch dawa ker dey
Apni fitrat ko chor ker ek pal
Koi wada tau woh wafa ker dey
In ki baaton se kuch nahi ho ga
Aakhri faisla tau dil ka hai
Dil yeh kehta hai…uss se milne se
Apni tanhaiyan he acchi hein
Ab akele mein lag gya hai dil
Uss se milne hamein nahi jana
Uss ki baatein udas ker dein gi..
●─┼ HAFI ┼─●