Archive for October 2011

Kitni aziyat se usne mujhko bhulaya hoga

October 13, 2011

kitni aziyat se mujhe usne bhulaya hoga
meri yaad ne usey khoob rulaya hoga

baat be baat jo aankh uski jhalki hogi
usne chehre ko baazuon mein chhupaya hoga

socha hoga usney din mein kai baar mujhe
naam hatheli pe bhi likh likh kar mitaya hoga

jahan usne mera zikr suna hoga kisi se
uski aankhon mein koi aansu to aaya hoga

raat ko bhi der tak neend na aayi hogi
usney takiye ko bhi seene se lagaya hoga

hoke nidhaal meri yadon se uss ne
meri tasveer se sar apna tikaya hoga

poochha hoga jo kisi ne us ki halat ka sabab
uss ne baaton mein khoob uss sey chhupaya hoga

jab kabhi chand ko dekha hoga akela uss ne
ussey mera pyar bada yaad aaya hoga.

Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha

October 13, 2011

Mere is dil ki keetabon ki tarha.

Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha,

Wo agar kholtey hain pani ki tarha,
To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha,
Wo koi phool ho nahi saktey,
Unki khushboo hai sharabon ki tarha,
Dil mai aata hai unka ho jaoon,
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha,
Unse rakhta hoon mai dua e kher,
Unse rishta hai mera janabon ki tarha,
Wo unke hont surkh sholo se ’shamsh’
Dekhney mai hain kababon ki tarha,

Din nikle to soch alag.

October 13, 2011

Din nikle to soch alag.
Sham dhale wajdan alag.
Umeed alag,
Aas alag,
Sukoon alag,
Tufan alag,

Tashbeeh don to kis se?
K tere husn ka har rang alag.
Neel alag,
Zamrad alag,
Yaqoot alag,
Marjaan alag,

Teri ulfat k taqaze bhi.
Ajab andaz k the.
Iqrar alag,
Takrar alag,
Tazeem alag,
Farman alag,

Agar sath nhi de sakte.
To bant do yakjan lamhe.
Masroor alag,
Nidhal alag,
Purkaif alag,
Pareshan alag,

Waqt-e-rukhsat jab.
Alwida ka lafz kehne laga.
Ansu alag,
Muskan alag,
Betab alag,
Haijan alag,

Jab chor gya tab.
Dekha apni ankhon ka rang.
Hairan alag,
Pasheman alag,